RSS

Bazeecha-e-Atfaal

This is not my own. It is Ghalib’s. Mirza Assadullah Khan Ghalib - the great Urdu poet. Heard of him? 
I like him a lot. He is my ultimate companion in the times of pain. 
Here is a part of his poetry I’d want to share with you, if only you would understand it! Ah!


Baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage
Hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage

Ik khel hai aurang-e-sulemaan mere nazdeek
Ik baat hai 'eijaz-e-maseeha mere aage

Juz naam naheen soorat-e-aalam mujhe manzoor
Juz waham naheen hastee-e-ashiya mere aage

Hota hai nihaan gard mein sehara mere hote
Ghisata hai jabeen khaak pe dariya mere aage

Mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche
Tou dekh ke kya rang tera mere aagay

Sach kahte ho, khudbeen-o-khud_aaraa na kyon hoon?
Baitha hai but-e-aainaa_seemaa mere aage

Phir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-guftaar
Rakh de koee paimaanaa-o-sahba mere aage

Nafrat ka gumaan guzare hai, main rashk se guzaraa
Kyon kar kahoon, lo naam na uska mere aage

Imaan mujhe roke hai jo khinche hai mujhe kufr
Ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage

Aashiq hoon, pe maashooq_farebee hai mera kaam
Majnoon ko bura kehti hai Laila mere aage

Khush hote hain par wasl mein yon mar naheen jaate
Aayee shab-e-hijaraan ki tamanna mere aage

Hai mauj_zan ik qulzum-e-Khoon, kaash, yahee ho
Aata hai abhee dekhiye kya-kya mere aage

Go haath ko jumbish naheen aankhon mein to dam hai
Rehne do abhee saagar-o-meena mere aage

Ham_pesha-o-ham_masharb-o-ham_raaz hai mera
'Ghalib' ko bura kyon kaho achchaa mere aage!

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

0 comments:

Post a Comment